farishte paDhte hain jis ko wo nam hai tera
baDi janab teri faiz aam hai tera
sitare ishq ke teri kashish se hain qaem
nizam-e-mehr ki surat nizam hai tera
teri lahad ki ziyarat hai zindagi dil ki
masih o KHizr se uncha maqam hai tera
nihan hai teri mohabbat mein rang-e-mahbubi
baDi hai shan baDa ehtiram hai tera
agar siyah dilam dagh-e-lala-zar-e-tawam
digar kushada jabinam gul-e-bahaar-e-tawam
chaman ko chhoD ke nikla hun misl-e-nikhat-e-gul
hua hai sabr ka manzur imtihan mujh ko
chali hai le ke watan ke nigar-KHane se
sharab-e-ilm ki lazzat kashan kashan mujh ko
nazar hai abr-e-karam par daraKHt-e-sahra hun
kiya KHuda ne na mohtaj-e-baghban mujh ko
falak-nashin sifat-e-mehr hun zamane mein
teri dua se ata ho wo nardban mujh ko
maqam ham-safaron se ho is qadar aage
ki samjhe manzil-e-maqsud karwan mujh ko
meri zaban-e-qalam se kisi ka dil na dukhe
kisi se shikwa na ho zer-e-asman mujh ko
dilon ko chaak kare misl-e-shana jis ka asar
teri janab se aisi mile fughan mujh ko
banaya tha jise chun chun ke KHar o KHas main ne
chaman mein phir nazar aae wo aashiyan mujh ko
phir aa rakhun qadam-e-madar-o-pidar pe jabin
kiya jinhon ne mohabbat ka raaz-dan mujh ko
wo sham-e-bargah-e-KHandan-e-murtazwi
rahega misl-e-haram jis ka aastan mujh ko
nafas se jis ke khili meri aarzu ki kali
banaya jis ki murawwat ne nukta-dan mujh ko
dua ye kar ki KHudawand-e-asman-o-zamin
kare phir us ki ziyarat se shadman mujh ko
wo mera yusuf-e-sani wo sham-e-mahfil-e-ishq
hui hai jis ki uKHuwwat qarar-e-jaan mujh ko
jala ke jis ki mohabbat ne daftar-e-man-o-tu
hawa-e-aish mein pala kiya jawan mujh ko
riyaz-e-dahr mein manind-e-gul rahe KHandan
ki hai aziz-tar az-jaan wo jaan-e-jaan mujh ko
shagufta ho ke kali dil ki phul ho jae
ye iltija-e-musafir qubul ho jae
Nazm
Iltija-e-musafir
Allama Iqbal