اردو हिंदी
Ilaj bil-misl | Shaahi Shayari
ilaj bil-misl

Nazm

Ilaj bil-misl

Waheed Ahmad

;

nashtar zaKHm lagata hai to nashtar se khulwata hun
silwata hun

phaner nil utarta hai to manke mein riswata hun
khinchwata hun

pani mein garmi gholta hai
to pani ka ThanDa pyala mangwata hun

jab shab-e-zinda-dari mein mai chaDhti hai
to subh subuhi ki siDhi lagwata hun

aurat charka deti hai to aurat ko bulwata hun
dikhlata hun

ek aadat ke ghao pe dusri aadat bandha karta hun
main aurat ke zaKHm ke upar aurat bandha karta hun