ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal
sari duniya ko mohabbat ki nishani di hai
is ke sae mein sada pyar ke charche honge
KHatm jo ho na sakegi wo kahani di hai
ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal
taj wo shama hai ulfat ke sanam-KHane ki
jis ke parwanon mein muflis bhi hain zardar bhi hain
sang-e-marmar mein samae hue KHwabon ki qasam
marhale pyar ke aasan bhi hain dushwar bhi hain
dil ko ek josh iradon ko jawani di hai
ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal
taj ek zinda tasawwur hai kisi shaer ka
us ka afsana haqiqat ke siwa kuchh bhi nahin
is ke aaghosh mein aa kar ye guman hota hai
zindagi jaise mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
taj ne pyar ki maujon ko rawani di hai
ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal
ye hasin raat ye mahki hui pur-nur faza
ho ijazat to ye dil ishq ka izhaar kare
ishq insan ko insan bana deta hai
kis ki himmat hai mohabbat se jo inkar kare
aaj taqdir ne ye raat suhani di hai
ek shahanshah ne banwa ke hasin taj mahal
sari duniya ko mohabbat ki nishani di hai
ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal
Nazm
Ek shahanshah ne banwa ke
Shakeel Badayuni