zinda rahne ke liye
mujhe jo ilaqa diya gaya hai
wahi mera irina hai
main nai is ke chaaron taraf
KHar-dar taron ki baDh laga rakkhi hai
jin mein har waqt
currant gardish karta rahta hai
aur mere kutte
mere alawa kisi ki KHushbu se manus nahin
main is duniya ke bare mein
un sab logon se
ziyaada jaanta hun
jo hamesha safar karte rahte hain
aur kahin nahin jata
mere pas ek album hai
jis mein chand baadalon ke TukDe
KHwab aur logon ke chehre
mahfuz hain
ya ek mari hui titli
jise mere kutton ne
mere qadmon mein la ke
Dal diya tha
mere pas ek kashti hai
jo pani ki aawaz aur lams se ajnabi hai
aur ek daraKHt
jo hawa aur aag ke bare mein kuchh nahin jaanta
mere pas doston ko dene ke liye
bahut se tohfe aur mohabbat bhara dil maujud hai
aur dushmanon ke liye ek talwar
jis ki pyas kabhi nahin bujhti
Nazm
Irina
Zeeshan Sahil