khanDar sa shahr
ghup tarik raaton mein
husain-ibn-e-ali ki yaad mein matam-kunan
ro-ro ke kahta hai
husain! tumi kothae?
mahabt-e-jang ki ye sarzamin
murshid ki ye basti
tarasti hai siraj-uddola ko har-pal
masajid mein namazi chiDiyan pabandi se aati hain
shikasta hain bhi to iman ka mehrabon se kya matlab
aqidon ko hai mimbar kya
ab in viran taqon mein diyon ki kaun sochega
chalo, langar uThao
kuch karna hai udhar ko ab
jahan koi andhere mein yunhi matam-kunan hoga
na jaane kab giren lashen
luTe KHeme
uDi chadar
na jaane kab kisi ne rakh diye hathiyar
kis ne zid mein de di jaan
ye nauhe phir kisi din ke liye rakh do
ki tariKHen rulati hain
chalo paT aaen KHandaq
moD den topen
uTha kar phenk den jins-e-tijarat gahre pani mein
wo sharten aaj manwalen
kabhi jin par siyahi pher di thi mir-'jafar' ne

Nazm
Husain! tumi kothae
Shahnaz Nabi