ai siphar-e-barin ke sayyaro
ai faza-e-zamin ke gul-zaro
ai pahaDon ki dil-fareb faza
ai lab-e-ju ki ThanDi ThanDi hawa
ai anadil ke naghma-e-sahari
ai shab-e-mahtab taron bhari
ai nasim-e-bahaar ke jhonko
dahr-e-na-paedar ke dhoko
tum har ek haal mein ho yun to aziz
the watan mein magar kuchh aur hi chiz
jab watan mein hamara tha ramna
tum se dil bagh bagh tha apna
tum meri dil-lagi ke saman the
tum mere dard-e-dil ke darman the
tum se kaTta tha ranj-e-tanhai
tum se pata tha dil shakebai
aan ek ek tumhaari bhati thi
jo ada thi wo ji lubhati thi
karte the jab tum apni gham-KHwari
dhoi jati thin kulfaten sari
jab hawa khane bagh jate the
ho ke KHush-haal ghar mein aate the
baiTh jate the jab kabhi lab-e-ab
dho ke uThte the dil ke dagh shitab
koh o sahra o aasman o zamin
sab meri dil-lagi ki shaklen thin
par chhuTa jis se apna mulk o dayar
ji hua tum se KHud-ba-KHud bezar
na gulon ki ada KHush aati hai
na sada bulbulon ki bhati hai
sair-e-gulshan hai ji ka ek janjal
shab-e-mahtab jaan ko hai wabaal
koh o sahra se ta lab-e-dariya
jis taraf jaen ji nahin lagta
kya hue wo din aur wo raaten
tum mein agli si ab nahin baaten
hum hi ghurbat mein ho gae kuchh aur
ya tumhaare badal gae kuchh taur
go wahi hum hain aur wahi duniya
par nahin hum ko lutf duniya ka
ai watan ai mere bahisht-e-barin
kya hue tere aasman o zamin
raat aur din ka wo saman na raha
wo zamin aur wo aasman na raha
teri duri hai morid-e-alam
tere chhuTne se chhuT gaya aaram
kaTe khata hai bagh bin tere
gul hain nazron mein dagh bin tere
miT gaya naqsh kaamrani ka
tujh se tha lutf zindagani ka
jo ki rahte hain tujh se dur sada
in ko kya hoga zindagi ka maza
ho gaya yan to do hi din mein ye haal
tujh bin ek ek pal hai ek ek sal
sach bata to sabhi ko bhata hai
ya ki mujh se hi tera nata hai
main hi karta hun tujh pe jaan nisar
ya ki duniya hai teri aashiq-e-zar
kya zamane ko tu aziz nahin
ai watan tu to aisi chiz nahin
jin o insan ki hayat hai tu
murgh o mahi ki kaenat hai tu
hai nabaatat ka numu tujh se
rukh tujh bin hare nahin hote
sab ko hota hai tujh se nashw-o-numa
sab ko bhati hai teri aab-o-hawa
teri ek musht-e-KHak ke badle
lun na hargiz agar bahisht mile
jaan jab tak na ho badan se juda
koi dushman na ho watan se hawa
hamla jab qaum-e-arya ne kiya
aur baja un ka hind mein Danka
mulk wale bahut se kaam aae
jo bache wo ghulam kahlae
shudr kahlae rakshas kahlae
ranj pardes ke magar na uThae
go ghulami ka lag gaya dhabba
na chhuTa un se des par na chhuTa
qadr ai dil watan mein rahne ki
puchhe pardesiyon ke ji se koi
jab mila ram-chandr ko ban-bas
aur nikla watan se ho ke udas
bap ka hukm rakh liya sar par
par chala sath le ke dagh-e-jigar
panw uThta tha us ka ban ki taraf
aur khinchta tha dil watan ki taraf
guzre ghurbat mein is qadar mah-o-sal
par na bhola ayodhya ka KHayal
des ko ban mein ji bhaTakta raha
dil mein kanTa sa ek khaTakta raha
tir ek dil mein aa ke lagta tha
aati thi jab ayodhya ki hawa
kaTne chaudah baras hue the muhaal
goya ek ek jug tha ek ek sal
hue yasrib ki samt jab rahi
sayyed-e-abtahi ke hamrahi
rishte ulfat ke sare toD chale
aur bilkul watan ko chhoD chale
go watan se chale the ho ke KHafa
par watan mein tha sab ka ji aTka
dil-lagi ke bahut mile saman
par na bhule watan ke registan
dil mein aaThon pahar khaTakte the
sang-reze zamin-e-batha ke
ghar jafaon se jin ki chhuTa tha
dil se rishta na un ka TuTa tha
huin yusuf ki saKHtiyan jab dur
aur hua mulk-e-misr par mamur
misr mein chaar su tha hukm rawan
aankh thi jaanib-e-watan nigaran
yaad-e-kanan jab us ko aati thi
saltanat sari bhul jati thi
dukh uThae the jis watan mein saKHt
taj bhata na us baghair na taKHt
jin se dekhi thi saKHt be-mehri
lau thi un bhaiyon ki dil ko lagi
hum bhi hubb-e-watan mein hain go gharq
hum mein aur un mein hai magar ye farq
hum hain nam-e-watan ke diwane
wo the ahl-e-watan ke parwane
jis ne yusuf ki dastan hai suni
jaanta hoga ruedad us ki
misr mein qaht jab paDa aa kar
aur hui qaum bhuk se muztar
kar diya waqf un pe baitulmal
lab tak aane diya na harf-e-sawal
khatiyan aur koThe khol diye
muft sare zaKHire tol diye
qafile KHali hath aate the
aur bharpur yan se jate the
yun gae qaht ke wo sal guzar
jaise bachchon ki bhuk waqt-e-sahar
ai dil ai banda-e-watan hoshiyar
KHwab-e-ghaflat se ho zara bedar
o sharab-e-KHudi ke matwale
ghar ki chaukhaT ke chumne wale
nam hai kya isi ka hubb-e-watan
jis ki tujh ko lagi hui hai lagan
kabhi bachchon ka dhyan aata hai
kabhi yaron ka gham satata hai
yaad aata hai apna shahr kabhi
lau kabhi ahl-e-shahr ki hai lagi
naqsh hain dil pe kucha-o-bazar
phirte aankhon mein hain dar-o-diwar
kya watan kya yahi mohabbat hai
ye bhi ulfat mein koi ulfat hai
is mein insan se kam nahin hain darind
is se KHali nahin chairnd o parind
TukDe hote hain sang ghurbat mein
sukh jate hain rukh furqat mein
ja ke kabul mein aam ka pauda
kabhi parwan chaDh nahin sakta
aa ke kabul se yan bihi-o-anar
ho nahin sakte barwar zinhaar
machhli jab chhuTti hai pani se
hath dhoti hai zindagani se
aag se jab hua samundar dur
us ko jine ka phir nahin maqdur
ghoDe jab khet se bichhaDte hain
jaan ke lale un ke paDte hain
gae, bhains unT ho ya bakri
apne apne Thikane KHush hain sabhi
kahiye hubb-e-watan isi ko agar
hum se haiwan nahin hain kuchh kam-tar
hai koi apni qaum ka hamdard
nau-e-insan ka samjhen jis ko fard
jis pe itlaq-e-admi ho sahih
jis ko haiwan pe de saken tarjih
qaum par koi zad na dekh sake
qaum ka haal-e-bad na dekh sake
qaum se jaan tak aziz na ho
qaum se baDh ke koi chiz na ho
samjhe un ki KHushi ko rahat-e-jaan
wan jo nau-roz ho to id ho yan
ranj ko un ke samjhe maya-e-gham
wan agar sog ho to yan matam
bhul jae sab apni qadr-e-jalil
dekh kar bhaiyon ko KHwar-o-zalil
jab paDe un pe gardish-e-aflak
apni aasaishon pe Dal de KHak
baiThe be-fikr kya ho ham-watano
uTho ahl-e-watan ke dost bano
mard ho tum kisi ke kaam aao
warna khao piyo chale jao
jab koi zindagi ka lutf uThao
dil ko dukh bhaiyon ke yaad dilao
pahno jab koi umda tum poshak
karo daman se ta gareban chaak
khana khao to ji mein tum sharmao
ThanDa pani piyo to ashk bahao
kitne bhai tumhaare hain nadar
zindagi se hai jin ka dil bezar
naukaron ki tumhaare jo hai ghiza
un ko wo KHwab mein nahin milta
jis pe tum jutiyon se phirte ho
wan mayassar nahin wo oDhne ko
khao to pahle lo KHabar un ki
jin pe bipta hai nisti ki paDi
pahno to pahle bhaiyon ko pahnao
ki hai utran tumhaari jin ka banaw
ek Dali ke sab hain barg-o-samar
hai koi un mein KHushk aur koi tar
sab ko hai ek asl se paiwand
koi aazurda hai koi KHursand
muqbilo mudabbiron ko yaad karo
KHush-dilo gham-zadon ko shad karo
jagne wale ghafilon ko jagao
tairne walo Dubton ko tirao
hain mile tum ko chashm o gosh agar
lo jo li jae kor-o-kar ki KHabar
tum agar hath panw rakhte ho
langDe lulon ko kuchh sahaara do
tandurusti ka shukr kiya hai batao
ranj bimar bhaiyon ka haTao
tum agar chahte ho mulk ki KHair
na kisi ham-watan ko samjho ghair
ho musalman us mein ya hindu
bodh mazhab ho ya ki ho brahamu
jafri howe ya ki ho hanafi
jin-mat howe ya ho waishnawi
sab ko miThi nigah se dekho
samjho aankhon ki putliyan sab ko
mulk hain ittifaq se aazad
shahr hain ittifaq se aabaad
hind mein ittifaq hota agar
khate ghairon ki Thokaren kyunkar
qaum jab ittifaq kho baiThi
apni punji se hat dho baiThi
ek ka ek ho gaya bad-KHwah
lagi ghairon ki paDne tum pe nigah
phir gae bhaiyon se jab bhai
jo na aani thi wo bala aai
panw iqbaal ke ukhaDne lage
mulk par sab ke hath paDne lage
kabhi turaniyon ne ghar luTa
kabhi durraniyon ne zar luTa
kabhi nadir ne qatl-e-am kiya
kabhi mahmud ne ghulam kiya
sab se aaKHir ko le gai bazi
ek shaista qaum maghrib ki
ye bhi tum par KHuda ka tha inam
ki paDa tum ko aisi qaum se kaam
warna dum marne na pate tum
paDti jo sar pe wo uThate tum
mulk raunde gae hain pairon se
chain kis ko mila hai ghairon se
qaum se jo tumhaare bartaw
socho ai mere pyaro aur sharmao
ahl-e-daulat ko hai ye istighna
ki nahin bhaiyon ki kuchh parwa
shahr mein qaht ki duhai hai
jaan-e-alam labon pe aai hai
bachche ek ghar mein bilbilate hain
ro ke man bap ko rulate hain
koi phirta hai mangta dar dar
hai kahin peT se bandha patthar
par jo hain un mein sahib-e-maqdur
un mein ginti ke honge aise ghayur
ki jinhen bhaiyon ka gham hoga
apni rahat ka dhyan kam hoga
jitne dekhoge paoge be-dard
dil ke namard aur nam ke mard
aish mein jin ke kaTte hain auqat
id hai din to shabbaraat hai raat
qaum marti hai bhuk se to mare
kaam unhen apne halwe-manDe se
in ko ab tak KHabar nahin aslan
shahr mein bhaw kya hai ghalle ka
ghalla arzan hai in dinon ki giran
kal hai shahr mein paDa ki saman
kal kya shai hai kis ko kahte hain bhuk
bhuk mein kyunki marte hain mafluk
ser bhuke ki qadr kya samjhe
us ke nazdik sab hain peT bhare
ahl-e-daulat ka sun chuke tum haal
ab suno ruedad-e-ahl-e-kamal
fazilon ko hai fazilon se inad
panditon mein paDe hue hain fasad
hai tabibon mein nok-jhok sada
ek se ek ka hai thuk juda
rahne do ahl-e-ilm hain is tarah
pahalwanon mein lag ho jis tarah
idu walon ka hai agar paTTha
sheKHu walon mein ja nahin sakta
shairon mein bhi hai yahi takrar
KHushnaweson ko hai yahi aazar
lakh nekon ka kyun na ho ek nek
dekh sakta nahin hai ek ko ek
is pe turra ye hai ki ahl-e-hunar
dur samjhe hue hain apna ghar
mili ek ganTh jis ko haldi ki
us ne samjha ki main hun pansari
nusKHa ek tib ka jis ko aata hai
sage-bhai se wo chhupata hai
jis ko aata hai phunkna kushta
hai hamari taraf se wo gunga
jis ko hai kuchh ramal mein malumat
wo nahin karta sidhe munh se baat
bap bhai ho ya ki ho beTa
bhed pata nahin munajjam ka
kaam kandle ka jis ko hai malum
hai zamane mein us ki buKHl ki dhum
al-gharaz jis ke pas hai kuchh chiz
jaan se bhi siwa hai us ko aziz
qaum par un ka kuchh nahin ehsan
un ka hona na hona hai yaksan
sab kamalat aur hunar un ke
qabr mein un ke sath jaenge
qaum kya kah ke un ko roegi
nam par kyun ki jaan khoegi
tarbiyat-yafta hain jo yan ke
KHwah b-a hon is mein ya ma
bharte hubb-e-watan ka go dam hain
par muhibb-e-watan bahut kam hain
qaum ko un se jo umiden thin
ab jo dekha to sab ghalat niklin
history un ki aur geography
sat parde mein munh diye hai paDi
band us qufl mein hai ilm un ka
jis ki kunji ka kuchh nahin hai pata
lete hain apne dil hi dil mein maze
goya gunge ka guD hain khae hue
karte phirte hain sair-e-gul tanha
koi pas un ke ja nahin sakta
ahl-e-insaf sharm ki ja hai
gar nahin buKHl ye to phir kya hai
tum ne dekha hai jo wo sab ko dikhao
tum ne chakha hai jo wo sab ko chakhao
ye jo daulat tumhaare pas hai aaj
ham-watan is ke hain bahut mohtaj
munh ko ek ek tumhaare hai takta
ki nikalta hai munh se aap ke kya
aap shaista hain to apne liye
kuchh suluk apni qaum se bhi kiye
mez kursi agar lagate hain aap
qaum se puchhiye to pun hai na pap
munDa juta gar aap ko hai pasand
qaum ko is se faeda na gazand
qaum par karte ho agar ehsan
to dikhao kuchh apna josh-e-nihan
kuchh dinon aish mein KHalal Dalo
peT mein jo hai sab ugal Dalo
ilm ko kar do ku-ba-ku arzan
hind ko kar dikhao englistan
sunte ho samain-e-ba-tamkin
sunte ho hazrin-e-sadr-nashin
jo hain duniya mein qaum ke hamdard
banda-e-qaum un ke hain zan o mard
bap ki hai dua ye bahr-e-pisar
qaum ki main banaun us ko sipar
man KHuda se ye mangti hai murad
qaum par se nisar ho aulad
bhai aapas mein karte hain paiman
tu agar mal de to main dun jaan
ahl-e-himmat kama ke late hain
ham-watan faede uThate hain
kahin hote hain madrase jari
daKHl aur KHarj jin ke hain bhaari
aur kahin hote hain club qaem
mabhas-e-hikmat aur adab qaem
nit-nae khulte hain dawa-KHane
bante hain saikDon shifa-KHane
mulk mein jo maraz hain aalam-gir
qaum par un ki farz hai tadbir
hain sada is udheD-bun mein tabib
ki koi nusKHa hath aae ajib
qaum ko pahunche manfat jis se
mulk mein phailen faede jis ke
khap gae kitne ban ke jhaDon mein
mar gae saikDon pahaDon mein
likhe jab tak jiye safar-name
chal diye hath mein qalam thame
go safar mein uThae ranj-e-kamal
kar diya par watan ko apne nihaal
hain ab in ke gawah hubb-e-watan
dar-o-diwar-e-paris o london
kaam hain sab bashar ke ham-watanon
tum se bhi ho sake to mard bano
chhoDo afsurdagi ko josh mein aao
bas bahut soe uTTho hosh mein aao
qafile tum se baDh gae koson
rahe jate ho sab se pichhe kyun
qafilon se agar mila chaho
mulk aur qaum ka bhala chaho
gar raha chahte ho izzat se
bhaiyon ko nikalo zillat se
un ki izzat tumhaari izzat hai
un ki zillat tumhaari zillat hai
qaum ka mubtadil hai jo insan
be-haqiqat hai garche hai sultan
qaum duniya mein jis ki hai mumtaz
hai faqiri mein bhi wo ba-eazaz
izzat-e-qaum chahte ho agar
ja ke phailao un mein ilm-o-hunar
zat ka faKHr aur nasab ka ghurur
uTh gae ab jahan se ye dastur
ab na sayyad ka iftiKHar sahih
na barhaman ko shudr par tarjih
hui turki tamam KHanon mein
kaT gai jaD se KHandanon mein
qaum ki izzat ab hunar se hai
ilm se ya ki sim-o-zar se hai
koi din mein wo daur aaega
be-hunar bhik tak na paega
na rahenge sada yahi din raat
yaad rakhna hamari aaj ki baat
gar nahin sunte qaul 'haali' ka
phir na kahna ki koi kahta tha
Nazm
Hubb-e-watan
Altaf Hussain Hali