hubb-e-qaumi ka zaban par in dinon afsana hai
baada-e-ulfat se pur dil ka mere paimana hai
jis jagah dekho mohabbat ka wahan afsana hai
ishq mein apne watan ke har bashar diwana hai
jab ki ye aaghaz hai anjam ka kya puchhna
baada-e-ulfat ka ye to pahla hi paimana hai
hai jo raushan bazm mein qaumi taraqqi ka charagh
dil fida har ek ka us par surat-e-parwana hai
mujh se is hamdardi-o-ulfat ka kya howe bayan
jo hai wo qaumi taraqqi ke liye diwana hai
lutf yaktai mein jo hai wo dui mein hai kahan
bar-KHilaf is ke jo ho samjho ki wo diwana hai
naKHl-e-ulfat jin ki koshish se uga hai qaum mein
qabil-e-tarif un ki himmat-e-mardana hai
hai gul-e-maqsud se pur gulshan-e-kashmir aaj
dushmani na-ittifaqi sabza-e-begana hai
dur-fishan hai har zaban hubb-e-watan ke wasf mein
josh-zan har samt bahr-e-himmat-e-mardana hai
ye mohabbat ki faza qaem hui hai aap se
aap ka lazim tah-e-dil se hamein shukrana hai
har bashar ko hai bharosa aap ki imdad par
aap ki hamdardiyon ka dur dur afsana hai
jama hain qaumi taraqqi ke liye arbab-e-qaum
rashk-e-firdaus un ke qadmon se ye shadi-KHana hai
Nazm
Hubb-e-qaumi
Chakbast Brij Narayan