اردو हिंदी
Holi | Shaahi Shayari
holi

Nazm

Holi

Nazeer Akbarabadi

;

aa dhamke aish o tarab kya kya jab husn dikhaya holi ne
har aan KHushi ki dhum hui yun lutf jataya holi ne

har KHatir ko KHursand kiya har dil ko lubhaya holi ne
daf rangin naqsh sunahri ka jis waqt bajaya holi ne

bazar gali aur kuchon mein ghul-shor machaya holi ne
ya swang kahun ya rang kahun ya husn bataun holi ka

sab abran tan par jhamak raha aur kesar ka mathe Tika
hans dena har-dam naz-bhara dikhlana saj-dhaj shoKHi ka

har gali, misri, qand-bhari, har ek qadam aTkheli ka
dil shad kiya aur moh liya ye, jauban paya holi ne

kuchh table khaTke tal baje kuchh Dholak aur murdang baji
kuchh jhaDpen bin rababon ki kuchh sarangi aur chang baji

kuchh tar tamburon ke jhanke kuchh DhamDhi aur munh-chang baji
kuchh ghungru khaTke jham-jham-jham kuchh gat gat par aahang baji

hai har dam nachne gane ka ye tar bandhaya holi ne
har jagah thaal gulalon se, KHush-rangat ki gul-kari hai

aur Dher abiron ke lage, so ishrat ki tayyari hai
hain rag bahaaren dikhlate aur rang-bhari pichkari hai

munh surKHi se gulnar hue tan kesar ki si kyari hai
ye rup jhamakta dikhlaya ye rang dikhaya holi ne

har aan KHushi se aapas mein sab hans hans rang chhiDakte hain
ruKHsar gulalon se gul-gun, kapDon se rang Tapakte hain

kuchh rag aur rang jhamakte hain kuchh mai ke jam chhalakte hain
kuchh kude hain, kuchh uchhle hain, kuchh hanste hain, kuchh bikte hain

ye taur ye naqsha ishrat ka har aan banaya holi ne