chishti ne jis zamin mein paigham-e-haq sunaya
nanak ne jis chaman mein wahdat ka git gaya
tatariyon ne jis ko apna watan banaya
jis ne hijaziyon se dasht-e-arab chhuDaya
mera watan wahi hai mera watan wahi hai
yunaniyon ko jis ne hairan kar diya tha
sare jahan ko jis ne ilm o hunar diya tha
miTTi ko jis ki haq ne zar ka asar diya tha
turkon ka jis ne daman hiron se bhar diya tha
mera watan wahi hai mera watan wahi hai
TuTe the jo sitare faras ke aasman se
phir tab de ke jis ne chamkae kahkashan se
wahdat ki lai suni thi duniya ne jis makan se
mir-e-arab ko aai ThanDi hawa jahan se
mera watan wahi hai mera watan wahi hai
bande kalim jis ke parbat jahan ke sina
nuh-e-nabi ka aa kar Thahra jahan safina
rifat hai jis zamin ki baam-e-falak ka zina
jannat ki zindagi hai jis ki faza mein jina
mera watan wahi hai mera watan wahi hai
Nazm
Hindustani bachchon ka qaumi git
Allama Iqbal