اردو हिंदी
Hijrat | Shaahi Shayari
hijrat

Nazm

Hijrat

Aftab Shamsi

;

bahut dinon se mujhe intizar hai lekin
tumhaare shahr se koi yahan nahin aaya

main sochta hun to bas ye ki ab tumhaari shakl
guzarte waqt ke hathon badal gai hogi

KHamida zulfon ki kali ghaTa mein ab shayad
safed baalon ki tadad baDh gai ho gi

tumhaare gal pe jo ek til chamakta tha
pata nahin wo chamak is mein ab bhi baqi hai

tumhaari aankhon mein ek chandni si raushan thi
pata nahin wo damak is mein ab bhi baqi hai

tumhaari baaton mein phulon ki si mahak thi jo
pata nahin wo mahak ab bhi sunne wale ko

masham-e-jaan mein utar kar nihaal karti hai
tumhaare mathe pe jo ek chand raushan tha

mujhe guman hai wo chand bujh gaya hoga
main sochta hun to bas is qadar ki ab tum ne

purane qisse ko dil se bhula diya hoga
yaqin mujhe bhi hai ab mil na paenge hum tum

magar ye rishta-e-dil kas tarah se toDa jae
fasana jo ki mukammal na ho saka us ko

kahan pe KHatm kiya jae kaise moDa jae
bahut dinon se mujhe intizar hai lekin

tumhaare shahr se koi yahan nahin aaya