hijr ki umr baDhi hai to hum un aankhon ko
ab kisi KHwab-nagar mein nahin jaane denge
gham se ab dosti kar lenge
KHushi ko nahin aane denge
hijr ke waqt mein ahwal shab-o-roz ka kya puchhte ho
us mein saat bhi zamanon se baDi hoti hai
din khaDa hota hai jallad ke manind sabhi raaton par
raat Dain ki tarah
waqt ke nake mein aDi hoti hai
hijr ke sath mein wo qahr hai
jina bhi garan aur na jina mushkil
hijr ke hath mein wo zahr hai
pina bhi muhaal aur na pina mushkil
hijr darwesh nahin
hijr kam-andesh nahin
hijr nahin pir-e-mughan
hijr ayyar hai
duniya ka talabgar hai
ab tak hai jawan
hijr ki umr baDhi hai to chalo hum KHud hi
naqsh sab dil se miTa dete hain
hath jine se uTha lete hain

Nazm
Hijr ki umr baDhi hai
Sameena Raja