ba-zahir kahin koi halchal nahin hai
hayat-e-rawan apne markaz se chimTi hui hai
bahut aam be-kar uljhe dinon ki
mulaem si gaThri mein rakkhi hui
ek be-nam si dopahar hai
hawa chal rahi hai
na jaane kahan
gahre bechain baadal ke TukDe
uDe ja rahe hain
pareshan saDkon pe bahte hue zard patte
faza mein bikharta hua kuchh ghubar-e-musalsal
zara pal do pal ko
bahut dur patton pe hansta hua
tez suraj
magar phir chamakti hui ek kiran par
jhapaTte hue gadle baadal
khule aasman par Thaharte nahin hain
hawa chalti rahti hai rukti nahin hai
daraKHton pe shaKHen
idhar se udhar Dolti hain
idhar se udhar
meri chashm-e-tasawwur mein uDte hue chand TukDe
lapakte jhapakte KHayalat ke maile baadal
kahin sath-e-dil par Thaharte nahin hain
ba-zahir jahan koi halchal nahin hai
magar ye ghubar-e-musalsal uDae chali ja rahi hai
hawa chalti rahti hai rukti nahin hai
hayat-e-rawan apne markaz se chimTi hui hai
magar be-nam si dopahar ke
sukut-e-nihan mein
ajab be-kali hai
Nazm
Hayat-e-rawan
Gulnaz Kausar