ek bosida haweli yani farsuda samaj
le rahi hai naza ke aalam mein murdon se KHiraj
ek musalsal gard mein Dube hue sab baam-o-dar
jis taraf dekho andhera jis taraf dekho khanDar
mar o kajdum ke Thikane jis ki diwaron ke chaak
uf ye raKHne kis qadar tarik kitne haul-nak
jin mein rahte hain mahajan jin mein baste hain amir
jin mein kashi ke barhaman jin mein kabe ke faqir
rahzanon ka qasr-e-shura qatilon ki KHwab-gah
khilkhilate hain jaraem jagmagate hain gunah
jis jagah kaTta hai sar insaf ka iman ka
roz o shab nilam hota hai jahan insan ka
zist ko dars-e-ajal deti hai jis ki bargah
qahqaha ban kar nikalti hai jahan har ek aah
sim-o-zar ka dewta jis ja kabhi sota nahin
zindagi ka bhul kar jis ja guzar hota nahin
hans raha hai zindagi par is tarah mazi ka haal
KHanda-zan ho jis tarah ismat pe qahba ka jamal
ek jaanib hain wahin in be-nawaon ke giroh
han inhin be-nan o be-poshish gadaon ke giroh
jin ke dil kuchle hue jin ki tamanna paemal
jhankta hai jin ki aankhon se jahannam ka jalal
ai KHuda-e-do-jahan ai wo jo har ek dil mein hai
dekh tere hath ka shahkar kis manzil mein hai
jaanta hun maut ka ham-saz o hamdam kaun hai
kaun hai parwardigar-e-bazm-e-matam kaun hai
koDh ke dhabbe chhupa sakta nahin malbus-e-din
bhuk ke shole bujh sakta nahin ruh-ul-amin
ai jawan-sal-e-jahan jaan-e-jahan-e-zindagi
sarban-e-zindagi ruh-e-rawan-e-zindagi!
jis ke KHun-e-garam se bazm-e-charaghan zindagi
jis ke firdausi tanaffus se gulistan zindagi
bijliyan jis ki kanizen zalzale jis ke safir
jis ka dil KHaibar-shikan jis ki nazar arjun ka tir
han wo naghma chheD jis se muskurae zindagi
to baja-e-saz-e-ulfat aur gae zindagi
aa inhin khanDaron pe aazadi ka parcham khol den
aa inhin khanDaron pe aazadi ka parcham khol den
Nazm
Haweli
Makhdoom Mohiuddin