hawa 
subh-dam us ki aahista aahista khulti hui aankh se 
KHwab ki sipiyan chunne jae to kahna 
ki hum jagte hain 
hawa us se kahna 
ki jo hijr ki aag piti ruton ki tanaben 
ragon se ulajhti hui sans ke sath kas den 
unhen raat ke surmai hath KHairaat mein nind kab de sake hain 
hawa us ke bazu pe likkha hua koi tawiz bandhe to kahna 
ki aawargi oDh kar sans lete musafir 
tujhe khojte khojte thak gae hain 
hawa us se kahna 
ki hum ne tujhe khojne ki sabhi KHwahishon ko 
udasi ki diwar mein chun diya hai 
hawa us se kahna 
ki wahshi darindon ki basti ko jate hue raston par 
tere naqsh-e-pa dekh kar 
hum ne dil mein tere nam ke har taraf 
ek siyah matami hashiya bun diya hai 
hawa us se kahna 
hawa kuchh na kahna 
hawa kuchh na kahna
        Nazm
Hawa us se kahna
Mohsin Naqvi

