bisat-e-zindagi to har ghaDi bichhti hai uThti hai
yahan par jitne KHane jitne ghar hain
sare
KHushiyan aur gham inam karte hain
yahan par sare mohre
apni apni chaal chalte hain
kabhi mahsur hote hain kabhi aage nikalte hain
yahan par shah bhi paDti hai
yahan par mat hoti hai
kabhi ek chaal Talti hai
kabhi bazi palaTti hai
yahan par sare mohre apni apni chaal chalte hain
magar main wo piyaada hun
jo har ghar mein
kabhi is shah se pahle aur kabhi us mat se pahle
kabhi ek burd se pahle kabhi aafat se pahle
hamesha qatl ho jata hai
Nazm
Hamesha qatl ho jata hun main
Jaun Eliya