hamesha der kar deta hun main har kaam karne mein
zaruri baat kahni ho koi wada nibhana ho
use aawaz deni ho use wapas bulana ho
hamesha der kar deta hun main
madad karni ho us ki yar ki Dhaaras bandhana ho
bahut derina raston par kisi se milne jaana ho
hamesha der kar deta hun main
badalte mausamon ki sair mein dil ko lagana ho
kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhul jaana ho
hamesha der kar deta hun main
kisi ko maut se pahle kisi gham se bachana ho
haqiqat aur thi kuchh us ko ja ke ye batana ho
hamesha der kar deta hun main har kaam karne mein
Nazm
Hamesha der kar deta hun
Muneer Niyazi