agarche sut se takle ne dhage ko na khincha tha
mere reshe bunat ke marhale mein the
ragen man ki duridon se na bichhDi thin
main apne jism se kuchh fasle par tha
magar mere aqide ka tayyun karne walon ne
mere maslak ke bare mein
jo socha tha use tajsim kar Dala
main jis dam apne hone par utar aaya
mujhe taqsim kar Dala
kisi ne mere mathe par tilak dagha
salibon ko meri chhati pe khincha
aur kanon mein azan bhar di
phir is ke baad
peshani pe angare
saliben apne sine par
samaat par namida zang ke tale sambhaale
main ne sari umr
duniya ke tasarruf mein guzari hai
meri fitrat simaTna aur
qismat TuT jaana hai
main para hun
mujhe duniya masalti hai
nafi isbaat ki zarben
mujhe taqsim karti hain
bikharta hun
mere zarre thirakte hain
to kahte hain
hamein nabud mat karna
ki jab taqsim hone ka amal mumkin nahin rahta
to phir zarra
zara bhar choT khane par
dhamake ko ugalta hai
dhamake ko samajhte ho
dhamaka jis se harf-e-kun Tapakta hai
hamein nabud mat karna

Nazm
Hamein nabud mat karna
Syed Mubarak Shah