dadi-amman
(basti ke sab se mumtaz
gharane ki beTi
sab se muazzaz
aangan ki dulhan
masha-allah
sattar ke piTe mein hongi)
apna istehqaq mangti hain
dada jaan ki
das kam saTh baras tak in se
andhi ghup kali raaton mein
chhup chhup ke milne aae
biwi ki zarKHez aankhon mein
sirf aulad-e-narina ke
KHwab uga ke chale gae
ye shauhar ke raste mein
hael na huin
dil ke TukDe
hostelon mein pale baDhe
haif ki un ke dukh sukh mein
shamil na huin
dada-jaan ki saKHt tabiat ne
is ka mauqa hi na diya
ye wo natiq
jo KHamosh rahin
us na-zeba KHamoshi mein
aag lagane ke din aae
ab apne chaqmaq mangti hain
in ke andar tanhai ka zahr utarta chala gaya
(aur zamana
ird-gard se
parchhain ki tarah guzarta chala gaya)
sog mein hain,
tiryaq mangti hain
ek janam tak
andhi gungi bahri ban ke
apne hi ghar mein be-daKHl,
be-qadri ke saKHi-hasan mein dafn rahin
aaj nae aafaq mangti hain
dadi aman talaq mangti hain
Nazm
Hamal-sara
Saqi Faruqi