tere honTon ke phulon ki chahat mein hum
dar ki KHushk Tahni pe ware gae
tere haton ki shamon ki hasrat mein hum
nim-tarik rahon mein mare gae
suliyon par hamare labon se pare
tere honTon ki lali lapakti rahi
teri zulfon ki masti barasti rahi
tere hathon ki chandi damakti rahi
jab ghuli teri rahon mein sham-e-sitam
hum chale aae lae jahan tak qadam
lab pe harf-e-ghazal dil mein qindil-e-gham
apna gham tha gawahi tere husn ki
dekh qaem rahe is gawahi pe hum
hum jo tarik rahon pe mare gae
na-rasai agar apni taqdir thi
teri ulfat to apni hi tadbir thi
kis ko shikwa hai gar shauq ke silsile
hijr ki qatl-gahon se sab ja mile
qatl-gahon se chun kar hamare alam
aur niklenge ushshaq ke qafile
jin ki rah-e-talab se hamare qadam
muKHtasar kar chale dard ke fasle
kar chale jin ki KHatir jahangir hum
jaan ganwa kar teri dilbari ka bharam
hum jo tarik rahon mein mare gae
Nazm
Hum jo tarik rahon mein mare gae
Faiz Ahmad Faiz