اردو हिंदी
Haar jit | Shaahi Shayari
haar jit

Nazm

Haar jit

Mustafa Zaidi

;

meri ban jaane pe aamada hai wo jaan-e-hayat
jo kisi aur se paiman-e-wafa rakhti hai

mere aaghosh mein aane ke liye raazi hai
jo kisi aur ko sine mein chhupa rakhti hai

shaeri hi nahin kuchh bais-e-izzat mujh ko
aur bahut kuchh hasad o rashk ke asbab mein hai

mujh ko hasil hai wo mear-e-shab-o-roz ki jo
us ke mahbub ke haton mein nahin KHwab mein hai

kaun jitega ye bazi mujhe malum nahin
zindagi mein mujhe kya aur use kya mil jae

kash wo zinat-e-aghosh kisi ki ban jae
aur mujhe garmi-e-paiman-e-wafa mil jae