mera junun-e-wafa hai zawal-amada
shikast ho gaya tera fusun-e-zebai
un aarzuon pe chhai hai gard-e-mayusi
jinhon ne tere tabassum mein parwarish pai
fareb-e-shauq ke rangin tilism TuT gae
haqiqaton ne hawadis se phir jila pai
sukun-o-KHwab ke parde sarakte jate hain
dimagh-o-dil mein hain wahshat ki kar-farmai
wo tare jinmen mohabbat ka nur taban tha
wo tare Dub gae le ke rang-o-ranai
sula gai thin jinhen teri multafit nazren
wo dard jag uThe phir se le ke angDai
ajib aalam-e-afsurdagi hai ru-ba-farogh
na jab nazar ko taqaza na dil tamannai
teri nazar tere gesu teri jabin tere lab
meri udas-tabiat hai sab se uktai
main zindagi ke haqaeq se bhag aaya tha
ki mujh ko KHud mein chhupae teri fusun-zai
magar yahan bhi taaqub kiya haqaeq ne
yahan bhi mil na saki jannat-e-shakebai
har ek hath mein le kar hazar aaine
hayat band darichon se bhi guzar aai
mere har ek taraf ek shor gunj uTha
aur us mein Dub gai ishraton ki shahnai
kahan talak kare chhup-chhup ke naghma-pairai
wo dekh samne ke pur-shikoh aiwan se
kisi kirae ki laDki ki chiKH Takrai
wo phir samaj ne do pyar karne walon ko
saza ke taur par baKHshi tawil tanhai
phir ek tira-o-tarik jhonpaDi ke tale
sisakte bachche pe bewa ki aankh bhar aai
wo phir biki kisi majbur ki jawan beTi
wo phir jhuka kisi dar par ghurur-e-barnai
wo phir kisanon ke majmea pe gun-mashinon se
huquq-yafta tabqe ne aag barsai
sukut-e-halqa-e-zindan se ek gunj uThi
aur is ke sath mere sathiyon ki yaad aai
nahin nahin mujhe yun multafit nazar se na dekh
nahin nahin mujhe ab tab-e-naghma-pairai
mera junun-e-wafa hai zawal-amada
shikast ho gaya tera fusun-e-zebai
Nazm
Gurez
Sahir Ludhianvi