dhire dhire gir rahi thin naKHl-e-shab se chandni ki pattiyan
bahte bahte abr ka TukDa kahin se aa gaya tha darmiyan
milte milte rah gai thin maKHmalin sabze pe do parchhaiyan
jis tarah sapne ke jhule se koi andhe kuen mein ja gire
na-gahan kajla gae the sharmagin aankhon ke nurani diye
jis tarah shor-e-jaras se koi wamanda musafir chaunk uThe
yak-ba-yak ghabra ke wo nikli thi mere bazuon ki qaid se
ab sulagte rah gae the, chhin gaya tha jam bhi
aur meri bebasi par hans paDi thi chandni
aaj tak ehsas ki chilman se uljha hai ye mubham sa sawal
us ne aaKHir kyun buna tha bahki nazron se hasin chahat ka jal
Nazm
Gurez-pa
Shakeb Jalali