اردو हिंदी
Gumnam sipahi ki qabr par | Shaahi Shayari
gumnam sipahi ki qabr par

Nazm

Gumnam sipahi ki qabr par

Iftikhar Arif

;

sipahi aaj bhi koi nahin aaya
kisi ne phul hi bheje

na basti ke gharon se aashna giton ki aawazen sunai den
na parcham koi lahraya

sipahi! sham hone aai aur koi nahin aaya
fana ki KHandaqon ko jaan de kar par kar jaana baDi baat

jahan jine ki KHatir mar rahe hon log us basti mein mar jaana baDi baat
magar pal bhar ko ye socha to hota

tumhaare baad ghar ki muntazir dahliz ko jage hue dil ki nishani kaun dega
hawaon se ulajhti raushni ko e'tibar-e-kaamrani kaun dega

dar-o-diwar se lipTi hui belon ko pani kaun dega