karim suraj
jo ThanDe patthar ko apni golai
de raha hai
jo apni hamwari de raha hai
(wo ThanDa patthar jo mere manind
bhure sabzon mein
dur reg o hawa ki yaadon mein loTta hai)
jo bahte pani ko apni dariya-dili ki
sarshaari de raha hai
wahi mujhe jaanta nahin
magar mujhi ko ye wahm shayad
ki aap-apna subut apna jawab hun main!
mujhe wo pahchanta nahin hai
ki meri dhimi sada
zamane ki jhil ke dusre kinare
se aa rahi hai
ye jhil wo hai ki jis ke upar
hazaron insan
ufuq ke mutawazi chal rahe hain
ufuq ke mutawazi chalne walon ko par lati hain
waqt lahren
jinhen tamanna, magar, samawi KHiram ki ho
inhi ko patal zamzamon ki sada sunati hain
waqt lahren
unhen Duboti hain waqt lahren!
tamam mallah us sada se sada hirasan, sada gurezan
ki jhil mein ek umud ka chor chhup ke baiTha hai
us ke gesu ufuq ki chhat se laTak rahe hain
pukarta hai: ab aao, aao!
azal se main muntazir tumhaara
main gumbadon ke tamam raazon ko jaanta hun
daraKHt minar burj zine mere hi sathi
mere hi mutawazi chal rahe hain
main har hawai-jahaz ka aaKHiri basera
samundaron par jahaz-ranon ka main kinara
ab aao, aao!
tumhaare jaise kai fasanon ko main ne un ke
abad ke aaghosh mein utara
tamam mallah is ki aawaz se gurezan
ufuq ki shah-rah-e-mubtazil par tamam sahme hue KHiraman
magar samawi KHiram wale
jo past o baala ke aastan par jame hue hain
umud ke is tanab hi se utar rahe hain
isi ko thame hue bulandi pe chaDh rahe hain!
isi tarah main bhi sath in ke utar gaya hun
aur aise sahil par aa laga hun
jahan KHuda ke nishan-e-pa ne panah li hai
jahan KHuda ki zaif aankhen
abhi salamat bachi hui hain,
yahi samawi KHiram mera nasib nikla
yahi samawi KHiram jo meri aarzu tha
magar na jaane
wo rasta kyun chuna tha main ne
ki jis pe KHud se visal tak ka guman nahin hai?
wo rasta kyun chuna tha main ne
wo ruk gaya hai dilon ke ibham ke kinare?
wahi kinara ki jis ke aage guman ka mumkin
jo tu hai main hun!
magar ye sach hai
main tujh ko pane ki (KHud ko pane ki) aarzu mein nikal paDa tha
us ek mumkin ki justuju mein
jo tu hai main hun
main aise chehre ko DhunDhta tha
jo tu hai main hun
main aisi taswir ke taaqub mein ghumta tha
jo tu hai main hun!
main is taaqub mein
kitne aaghaz gin chuka hun
(men us se Darta hun jo ye kahta
hai mujh ko ab koi Dar nahin hai)
main is taaqub mein kitni galiyon se,
kitne chaukon se,
kitne gunge musass se, guzar gaya hun
main is taaqub mein kitne baghon se,
kitni andhi sharab raaton se,
kitni banhon se,
kitni chahat ke kitne bifre samundaron se
guzar gaya hun
main kitni hosh o amal ki shamon se,
kitne iman ke gumbadon se
guzar gaya hun
main is taaqub mein kitne aaghaz kitne anjam gin chuka hun
ab is taaqub mein koi dar hai
na koi aata hua zamana
har ek manzil jo rah gai hai
faqat guzarta hua fasana
tamam raste, tamam bujhe sawal, be-wazn ho chuke hain
jawab, tariKH rup dhaare
bas apni takrar kar rahe hain
jawab hum hain jawab hum hain
hamein yaqin hai jawab hum hain
yaqin ko kaise yaqin se dohra rahe hain kaise!
magar wo sab aap apni zid hain
tamam, jaise guman ka mumkin
jo tu hai main hun!
tamam kunde (tu jaanti hai)
jo sath-e-dariya pe sath dariya ke tairte hain
ye jaante hain ye hadse
ki jis se un ko,
(kisi ko) koi mafar nahin!
tamam kunde jo sath-e-dariya pe tairte hain,
nahang banna ye un ki taqdir mein nahin hai
(nahang ki ibtida mein hai ek nahang shamil
nahang ka dil nahang ka dil!)
na un ki taqdir mein hai phir se daraKHt banna
(daraKHt ki ibtida mein hai ek daraKHt shamil
daraKHt ka dil daraKHt ka dil!)
tamam kunde ke samne band wapsi ki
tamam rahen
wo sath-e-dariya pe jabr-e-dariya se tairte hain
ab un ka anjam ghaT hain jo
sada se aaghosh wa kiye hain
ab un ka anjam wo safine
abhi nahin jo safina-gar ke qayas mein bhi
ab un ka anjam
aise auraq jin pe harf-e-siyah chhapega
ab un ka anjam wo kitaben
ki jin ke qari nahin, na honge
ab un ka anjam aise surat-garon ke parde
abhi nahin jin ke koi chehre
ki un pe aansu ke rang utren,
aur in mein aainda
un ke ruya ke naqsh bhar de
gharib kundon ke samne band wapsi ki
tamam rahen
baqa-e-mauhum ke jo raste khule hain ab tak
hai un ke aage guman ka mumkin
guman ka mumkin jo tu hai main hun,
jo tu hai mein hun
Nazm
Guman ka mumkin- jo tu hai main hun
Noon Meem Rashid