aaj qismat se nazar aai hai barsat ki raat
kya bigaD jaega rah jao yahin raat ki raat
un ki pa-bosi ko jae to saba kah dena
aaj tak yaad hai wo aap ke gujraat ki raat
jis mein salma ke tasawwur ke hain tare raushan
meri aankhon hai wo aalam-e-jazbaat ki raat
hae wo mast ghaTa hae wo salma ki ada
aah wo rud-e-chanab aah wo gujraat ki raat
mere sine mein idhar zulf-e-muattar ka hujum
aah wo zulf ki aawara KHarabaat ki raat
sath-e-doya pe idhar nashshe mein lahrai hui
rang lai hui chhai hui barsat ki raat
uf wo soi hui khoi hui fitrat ki bahaar
uf wo mahki hui bahki hui barsat ki raat
phir wo arman ham-aghoshi ka jazb-e-gustaKH
aah wo raat wo salma se mulaqat ki raat
kyun na un donon pe miTne ki ho hasrat aKHtar
uf wo us raat ki baat aah wo us baat ki raat
Nazm
Gujraat ki raat
Akhtar Shirani