guftugu band na ho
baat se baat chale
subh tak sham-e-mulaqat chale
hum pe hansti hui ye taron bhari raat chale
hon jo alfaz ke hathon mein hain sang-e-dushnam
tanz chhalkae to chhalkaya kare zahr ke jam
tikhi nazren hon tursh abru-e-KHamdar rahen
ban paDe jaise bhi dil sinon mein bedar rahen
bebasi harf ko zanjir-ba-pa kar na sake
koi qatil ho magar qatl-e-nawa kar na sake
subh tak Dhal ke koi harf-e-wafa aaega
ishq aaega ba-sad laghzish-e-pa aaega
nazren jhuk jaengi dil dhaDkeenge lab kanpenge
KHamushi bosa-e-lab ban ke mahak jaegi
sirf ghunchon ke chaTakne ki sada aaegi
aur phir harf-o-nawa ki na zarurat hogi
chashm o abru ke ishaaron mein mohabbat hogi
nafrat uTh jaegi mehman murawwat hogi
hath mein hath liye sara jahan sath liye
tohfa-e-dard liye pyar ki saughat liye
regzaron se adawat ke guzar jaenge
KHun ke dariyaon se hum par utar jaenge
guftugu band na ho
baat se baat chale
subh tak sham-e-mulaqat chale
hum pe hansti hui ye taron bhari raat chale
Nazm
Guftugu (Hind Pak dosti ke nam)
Ali Sardar Jafri