aasman baadal ka pahne KHirqa-e-derina hai
kuchh mukaddar sa jabin-e-mah ka aaina hai
chandni phiki hai is nazzara-e-KHamosh mein
subh-e-sadiq so rahi hai raat ki aaghosh mein
kis qadar ashjar ki hairat-faza hai KHamushi
barbat-e-qudrat ki dhimi si nawa hai KHamushi
baatin-e-har-zarra-e-alim sarapa dard hai
aur KHamoshi lab-e-hasti pe aah-e-sard hai
aah jaulan-gah-e-alam-gir yani wo hisar
dosh par apne uThae saikDon sadiyon ka bar
zindagi se tha kabhi mamur ab sunsan hai
ye KHamoshi us ke hangamon ka goristan hai
apne sukkan-e-kuhan ki KHak ka dil-dada hai
koh ke sar par misal-e-pasban istada hai
abr ke rauzan se wo baala-e-baam-e-asman
nazir-e-alam hai najm-e-sabz-fam-e-asman
KHak-bazi wusat-e-duniya ka hai manzar use
dastan nakaami-e-insan ki hai azbar use
hai azal se ye musafir su-e-manzil ja raha
aasman se inqilabon ka tamasha dekhta
go sukun mumkin nahin aalam mein aKHtar ke liye
fatiha-KHwani ko ye Thahra hai dam bhar ke liye
rang-o-ab-e-zinagi se gul-ba-daman hai zamin
saikDon KHun-gashta tahzibon ka madfan hai zamin
KHwab-gah shahon ki hai ye manzil-e-hasrat-faza
dida-e-ibrat KHiraj-e-ashk-e-gul-gun kar ada
hai to goristan magar ye KHak-e-gardun-paya hai
aah ek bargashta qismat qaum ka sarmaya hai
maqbaron ki shan hairat-afrin hai is qadar
jumbish-e-mizhgan se hai chashm-e-tamasha ko hazar
kaifiyat aisi hai nakaami ki is taswir mein
jo utar sakti nahin aaina-e-tahrir mein
sote hain KHamosh aabaadi ke hangamon se dur
muztarib rakhti thi jin ko aarzu-e-na-subur
qabr ki zulmat mein hai in aaftabon ki chamak
jin ke darwazon pe rahta hai jabin-gustar falak
kya yahi hai in shahanshahon ki azmat ka maal
jin ki tadbir-e-jahanbani se Darta tha zawal
rob-e-faghfuri ho duniya mein ki shan-e-qaisari
Tal nahin sakti ghanim-e-maut ki yurish kabhi
baadshahon ki bhi kisht-e-umr ka hasil hai gor
jada-e-azmat ki goya aaKHiri manzil hai gor
shorish-e-bazm-e-tarab kya ud ki taqrir kya
dardmandan-e-jahan ka nala-e-shab-gir kya
arsa-e-paikar mein hangama-e-shamshir kya
KHun ko garmane wala nara-e-takbir kya
ab koi aawaz soton ko jaga sakti nahin
sina-e-viran mein jaan-e-rafta aa sakti nahin
ruh-e-musht-e-KHak mein zahmat-kash-e-bedad hai
kucha gard-e-nai hua jis dam nafas fariyaad hai
zindagi insan ki hai manind-e-murgh-e-KHush-nawa
shaKH par baiTha koi dam chahchahaya uD gaya
aah kya aae riyaz-e-dahr mein hum kya gae
zindagi ki shaKH se phuTe khile murjha gae
maut har shah o gada ke KHwab ki tabir hai
is sitamgar ka sitam insaf ki taswir hai
silsila hasti ka hai ek bahr-e-na-paida-kanar
aur is dariya-e-be-payan ki maujen hain mazar
ai hawas KHun ro ki hai ye zindagi be-e'tibar
ye sharare ka tabassum ye KHas-e-atish-sawar
chand jo surat-gar-e-hasti ka ek ejaz hai
pahne simabi qaba mahw-e-KHiram-e-naz hai
charKH-e-be-anjum ki dahshatnak wusat mein magar
bekasi is ki koi dekhe zara waqt-e-sahar
ek zara sa abr ka TukDa hai jo mahtab tha
aaKHiri aansu Tapak jaane mein ho jis ki fana
zindagi aqwam ki bhi hai yunhi be-e'tibar
rang-ha-e-rafta ki taswir hai un ki bahaar
is ziyan-KHane mein koi millat-e-gardun-waqar
rah nahin sakti abad tak bar-e-dosh-e-rozgar
is qadar qaumon ki barbaadi se hai KHugar jahan
dekhta be-e'tinai se hai ye manzar jahan
ek surat par nahin rahta kisi shai ko qarar
zauq-e-jiddat se hai tarkib-e-mizaj-e-rozgar
hai nagin-e-dahr ki zinat hamesha nam-e-nau
madar-e-giti rahi aabastan-e-aqwam-e-nau
hai hazaron qafilon se aashna ye rahguzar
chashm-e-koh-e-nur ne dekhe hain kitne tajwar
misr o babul miT gae baqi nishan tak bhi nahin
daftar-e-hasti mein un ki dastan tak bhi nahin
aa dabaya mehr-e-iran ko ajal ki sham ne
azmat-e-yunan-o-ruma luT li ayyam ne
aah muslim bhi zamane se yunhi ruKHsat hua
aasman se abr-e-azari uTha barsa gaya
hai rag-e-gul subh ke ashkon se moti ki laDi
koi suraj ki kiran shabnam mein hai uljhi hui
sina-e-dariya shuaon ke liye gahwara hai
kis qadar pyara lab-e-ju mehr ka nazzara hai
mahw-e-zinat hai sanobar juebar-e-aina hai
ghuncha-e-gul ke liye baad-e-bahaar-e-aina hai
nara-zan rahti hai koyal bagh ke kashane mein
chashm-e-insan se nihan patton ke uzlat-KHane mein
aur bulbul mutrib-e-rangin nawa-e-gulsitan
jis ke dam se zinda hai goya hawa-e-gulsitan
ishq ke hangamon ki uDti hui taswir hai
KHama-e-qudrat ki kaisi shoKH ye tahrir hai
bagh mein KHamosh jalse gulsitan-zadon ke hain
wadi-e-kohsar mein nare shaban-zadon ke hain
zindagi se ye purana KHak-dan mamur hai
maut mein bhi zindagani ki taDap mastur hai
pattiyan phulon ki girti hain KHizan mein is tarah
dast-e-tifl-e-KHufta se rangin khilaune jis tarah
is nashat-abaad mein go aish be-andaza hai
ek gham yani gham-e-millat hamesha taza hai
dil hamare yaad-e-ahd-e-rafta se KHali nahin
apne shahon ko ye ummat bhulne wali nahin
ashk-bari ke bahane hain ye ujDe baam o dar
girya-e-paiham se bina hai hamari chashm-e-tar
dahr ko dete hain moti dida-e-giryan ke hum
aaKHiri baadal hain ek guzre hue tufan ke hum
hain abhi sad-ha guhar is abr ki aaghosh mein
barq abhi baqi hai is ke sina-e-KHamosh mein
wadi-e-gul KHak-e-sahra ko bana sakta hai ye
KHwab se ummid-e-dahqan ko jaga sakta hai ye
ho chuka go qaum ki shan-e-jalali ka zuhur
hai magar baqi abhi shan-e-jamali ka zuhur
Nazm
Goristan-e-shahi
Allama Iqbal