jab kutte raat ko rote hain
to aksar log samajhte hain
kuchh aisa hone wala hai
jo hum ne ab tak socha tha na hi samjha tha
jo hona tha wo kab ka lekin ho bhi chuka
ye shahr jala
is shahr mein raushan hanste baste ghar the kai
sab rakh hue
aur un ke makin
kuchh qatl hue
kuchh jaan bacha kar bhag gae
jo ba-ismat thin
ruswai ki KHak oDh ke rahguzar par baiThi hain
kuchh bewa hain
kuchh pa-basta rishton ki wahshat sahti hain
kuchh adh-nange bhuke bachche
din bhar aawara phirte hain
har jaanib mujrim hi mujrim
un mein se kuchh hain pesha-war
kuchh sikh rahe hain jurm ke fan ke raaz nae asrar nae
jo hona tha ye sach hai us mein se to bahut kuchh ho bhi chuka
lekin shayad kuchh aur bhi hone wala hai
kutte to aaKHir kutte hain
din bhar kachre ke Dheron par
wo mare mare phirte hain
jab raat utarne lagti hain
aane wale dushman-mausam ki dahshat se
sab mil kar rone lagte hain
Nazm
Girya-e-sagan
Balraj Komal