kya wo bhi
kabhi tha
han wo tha
ek chhoTa sa bij
ek din
zamin se bahar aaya
pal pal baDhta raha
pal pal tarasta raha
rihai ke liye
lekin
rihai har kisi ko nahin milti
wo ek hi jagah
khaDa hua
baDhta hi chala gaya
kya is ne phal diye?
nahin
lekin wo
phal dene ke qabil bin gaya
ek din
bahut zor ka tufan aaya
sab kuchh ukhaD ke le gaya
kya use bhi?
han use bhi
kai din udasi rahi
aaKHir
kitne din
ek din sab kuchh
phir se waisa hi ho gaya
lekin
us daraKHt ki jagah
kabhi na bhar saki
us daraKHt jaisa
koi nahin ho sakta
us ke phalon ki tamanna
aaj bhi kahin dafan hai
us ke sukhe patte
aaj bhi
meri yaadon mein uDte hain
yaad hai
us ka girna bhi
us ke kitne KHwab honge
kitni KHwahishen hongi
kuchh banne ki
tamanna thi
wo bhi jina chahta tha
waqt ne
jine nahin diya use
kuchh banne nahin diya use
us daraKHt ki chhanw meri thi
main
ek parinde ki surat
use talash kar rahi hun
mera aashiyana
us daraKHt ki ek Tahni par tha

Nazm
Girta hua daraKHt
Sheerin Ahmad