kya raat mein bistar KHali rakhna achchha hota hai
bahut tandahi se kaam kar rahe ho
zara bhi idhar nahin dekh rahe
dekho idhar dekho
yahan jahan main paDi hui hun
tumhaari paintings ki kitabon ki tarah
jinhen tum ne kal ke liye uTha rakha hai
Thik hai kah lo mujhe be-sharm
ab sirf ye underwear baqi hai
use bhi utar phenkun
to kya tum muD ke dekh loge dekho
main apni underwear bhi tumhaari taraf phenk rahi hun
kal bhi tum ne yahi kiya tha
main tumhaare intizar mein leTe leTe so gai
aur nind mein
tauba tumhein apna KHwab sunate hue bhi
mere pasine chhuT rahe hain
KHwab mein bahut se log
ek bull se meri laDai dekh rahe hain
wo apni singen
mere jism ke har hisse se
Takra raha hai
mein KHauf-zada hote hue bhi
us ki singon ke war apne jism par paDte hue
KHush ho rahi hun
tamam tar aziyyat ke bawajud
lazzaton ke lahu mein nahai hui
lahuluhan hote hue ek bar main ne
use apne upar chaDha hi liya
singon ko pakaDte hue
meri aankh khul gai
main zamin par chit paDi thi
tumhaari masrufiyat ne to meri jaan hi le li hai
Nazm
Female bull-fighter
Azra Abbas