tabib bhinbhina gaya
main sab ilaj kar ke thak gaya hun
par ye bachcha bolta nahin
zaban is ki tandurust hai
kahin bhi koi raKHna, koi naqs, main nahin samajh saka
badan bhi tandurust hai magar ye naunihaal chaar sal ka
ishaaron se hi baat karna jaanta hai, kya karun?
ise kisi specialist ke pas le ke jaiye
ye main tha chaar sal ka!
meri zaban band thi
kalam mujh se jaise chhin gaya tha pahle din se hi
jo do baras ka mujh se chhoTa bhai tha wo KHub bolta tha, par
na jaane kaise meri jibh gung thi
main summun bukmum tha, be-zaban, dam-ba-KHud
ki jaise chup ka roza rakh ke ji chuka tha chaar sal ki ye umr-e-muKHtasar
ajib moajaza hua ki ek din
main apne ghar ki DewDhi mein summun bukmum khaDa hua
tamasha dekhta tha ek julus ka
alam uThae jis mein log ya husain ya husain kahte
sina piTte, lahu-luhan ja rahe the
aur main jise zaban-awari ka kuchh pata na tha
na jaane kaise is sukut ke andhere ghaar se nikal ke bol uTha
husain! ya husain! ya husain!!
aur phir mera sukut
nutq mein, kalam mein, suKHan mein Dhal gaya
main saf bolne laga
Nazm
Fata-kallamu tarafu
Satyapal Anand