main tha zamir-e-mashiyyat mein ek azm-e-jalil
hanuz shauq ki karwaT bhi li na thi main ne
ki dafatan mutharrik hue lab-e-taKHliq
pakaD li surat-e-zahir wajud ki main ne
wo subh-e-alam-e-hairat wo jalwa-zar-e-bahisht
hawa chaman ki lagi aankh khol di main ne
wo tarbiyat-gah-zauq-e-nazar, wo wadi-e-nur
jahan se pai mohabbat ki raushni main ne
wo unfuwan-e-tamanna wo ibtida-e-junun
wo ek KHalish jise samjha tha zindagi main ne
kiya surur ne ek aalam-e-digar paida
chura ke pi jo mai-e-sarkash-e-KHudii main ne
KHudi ke nashshe mein allah re be-KHudi meri
badan se chadar-e-ismat bhi phenk di main ne
hua hudud-e-nazar se nikal ke aawara
hawa-e-shauq mein jannat bhi chhoD di main ne
farishte rah gae hairat se dekhte mujh ko
na ki qubul mashiyyat ki rahbari main ne
dalil-e-rah bani apni garmi-e-parwaz
ki taqat-e-par-e-jibril chhin li main ne
baDhin sitaron ki duniyaen mere lene ko
utar ke arsh se niche nazar jo ki main ne
magar zamin ki kashish ne su-e-zamin khincha
kiya pasand ye zindan-e-unsuri main ne
jagah mili jo taDapne ki be-qarari ko
to phir hudud mein wusat ki dad di main ne
hua talatum-e-hasti ba-alam-e-zarraat
chhiDak di KHak-e-bayaban pe zindagi main ne
numu ke josh se sauda-e-rang-o-bu nikla
zamin ke dil ki tamanna nikal di main ne
huin jahan-e-amal mein shariaten paida
KHuda ke nam pe barpa jo ki KHudi main ne
kabhi jalai andhere mein shama-e-ilm-o-amal
kabhi bujha di hidayat ki raushni main ne
kabhi bigaD ke rakh din sawab ki shaklen
kabhi badal di haqiqat gunah ki main ne
baDha to rah gaya pichhe mere zamana-e-haal
ruka to waqt ki rafta rok di main ne
zamin pe shauq ke fitne bichha diye har su
faza mein nind ki masti bikher di main ne
kabhi jaga di qayamat nafas ki Thokar se
uTha ke sur-e-sarafil-e-zindagi main ne
junun ke josh mein parde nazar ke chaak kiye
naqab noch ke fitrat ki phenk di main ne
qaba-e-laila-e-tahzib chaak kar Dali
rida-e-maryam-e-ismat utar li main ne
mizaj-e-atish-e-sozan ko kar diya ThanDa
macha di bazm-e-anasir mein khalbali main ne
liya shahanshah-e-KHawar se raushni ka KHiraj
kiya asir tabiat ko barq ki main ne
ba-inqalab-e-tabiat mizaj-e-ahan ko
hawa ki garmi-e-parwaz baKHsh di main ne
bulandiyon ka tasawwur bhi rah gaya pichhe
pahunch ke itni bulandi pe sans li main ne
ThiThuk gain jo nigahen qarib hujla-e-quds
pas-e-hijab-e-adab ye sada suni main ne
ki ai harif-e-mashiyyat ba-wada-gah-e-azal
Thahar Thahar teri parwaz dekh li main ne
Nazm
Fasana-e-adam
Jameel Mazhari