dekhne ki to kise tab hai lekin ab tak
jab bhi us rah se guzro to kisi dukh ki kasak
Tokti hai ki wo darwaza khula hai ab bhi
aur us sehn mein harsu yunhi pahle ki tarah
farsh-e-naumidi-e-didar bichha hai ab bhi
aur kahin yaad kisi dil-zada bachche ki tarah
hath phailae hue baiThi hai fariyaad-kunan
dil ye kahta hai kahin aur chale jaen jahan
koi darwaza abas wa ho, na be-kar koi
yaad fariyaad ka kashkol liye baiThi ho
mahram-e-hasrat-e-didar ho diwar koi
na koi saya-e-gul hijrat-e-gul se viran
ye bhi kar dekha hai sau bar ki jab rahon mein
des pardes ki be-mahr guzargahon mein
qafile qamat o ruKHsar o lab o gesu ke
parda-e-chashm pe yun utre hain be-surat-o-rang
jis tarah band darichon pe gire barish-e-sang
aur dil kahta hai har bar chalo lauT chalo
is se pahle ki wahan jaen to ye dukh bhi na ho
ye nishani ki wo darwaza khula hai ab bhi
aur us sehn mein harsu yunhi pahle ki tarah
farsh-e-naumidi-e-didar bichha hai ab bhi
Nazm
Farsh-e-naumidi-e-didar
Faiz Ahmad Faiz