apne mazi ke tasawwur se hirasan hun main
apne guzre hue ayyam se nafrat hai mujhe
apni be-kar tamannaon pe sharminda hun
apni be-sud umidon pe nadamat hai mujhe
mere mazi ko andhere mein daba rahne do
mera mazi meri zillat ke siwa kuchh bhi nahin
meri ummidon ka hasil meri kawish ka sila
ek be-nam aziyyat ke siwa kuchh bhi nahin
kitni be-kar umidon ka sahaara le kar
main ne aiwan sajae the kisi ki KHatir
kitni be-rabt tamannaon ke mubham KHake
apne KHwabon mein basae the kisi ki KHatir
mujh se ab meri mohabbat ke fasane na kaho
mujh ko kahne do ki main ne unhen chaha hi nahin
aur wo mast nigahen jo mujhe bhul gain
main ne un mast nigahon ko saraha hi nahin
mujh ko kahne do ki main aaj bhi ji sakta hun
ishq nakaam sahi zindagi nakaam nahin
in ko apnane ki KHwahish unhen pane ki talab
shauq-e-bekar sahi sai-e-gham-e-anjam nahin
wahi gesu wahi nazren wahi aariz wahi jism
main jo chahun to mujhe aur bhi mil sakte hain
wo kanwal jin ko kabhi un ke liye khilna tha
un ki nazron se bahut dur bhi khil sakte hain
Nazm
Farar
Sahir Ludhianvi