dil-azari bhi ek fan hai
aur kuchh log to
sari zindagi isi ki roTi khate hain
chahe un ka burj koi ho
aqrab hi lagte hain
tisre darje ke pile aKHbaron par ye
apni yarqani sochon se
aur bhi zardi malte rahte hain
mala bari cabin hon ya panch sitara hotel
kahin bhi qai karne se baz nahin aate
upar se is amal ko
fiqre-bazi kahte hain
jis ka pahla nishana umuman
bill ko ada karne wala sathi hota hai!
apne apne kunwen ko bahr-e-azam kahne aur samajhne wale
ye nanhe meinDak
har hathi ko dekh ke phulne lage hain
aur jab phaTne wale hon to
hathi ki aankhon par phabti kasne lage hain
kawwe bhi anDe khane ke shauq ko apne
faKHta ke ghar ja kar pura karte hain
lekin ye wo sanp hain jo ki
apne bachche
KHud hi chaT kar jate hain
kabhi kabhi main sochti hun ki
sanpon ki ye KHaslat
malik-e-jinn-o-ins ki, insanon ke haq mein
kaisi be-payan rahmat hai!
Nazm
Fabe-ayye aalaye rabbikuma tukazziban
Parveen Shakir