saqi sharab de ki election hai aaj-kal
barsenge wote jis mein wo sawan hai aaj-kal
jamhuriyat ke panw mein jhanjan hai aaj-kal
ye mulk us ke nach ka aangan hai aaj-kal
sauda hai leaderi ka jo dil ko satae hai
dil phir tawaf-e-ku-e-malamat ko jae hai
lo ho gaya hai unT election ka be-nakel
ab laTh chalenge jalson mein aabaad honge jail
phir leaderon ki hogi akhaDon mein rel-pel
woton ki har dukan pe hogi grand sale
woton se baDh ke ab koi hathiyar bhi nahin
laDte hain aur hath mein talwar bhi nahin
zinda hai wo ki jis ka register mein nam hai
aur zindagi sharifon ke upar haram hai
hain jis ke pas wote madar-ul-maham hai
laila-e-leaderi ki wo thame lagam hai
leader ke munh pe shahar ke kuchon ki gard hai
ishq-e-nabard-pesha talabgar-e-mard hai
waqt aa gaya zamir ki bai-o-KHarid ka
import ke licence ke wade-waid ka
din hai biradri o qabail ki id ka
aapas mein gallabanon ki guft-o-shunid ka
muslim ko be-shak aisi musawat chahiye
aarif hamesha mast-e-mai-e-zat chahiye
danggal ki kashtiyon mein har ek chiz hai rawa
yani milegi millat-e-asi ko har dawa
naghme ka daur, daur-e-mai-o-raqs ka maza
jis ko zaban kah na sake us se bhi siwa
likkha hua hai qismat-e-ummid-war mein
uDti phiregi KHak teri ku-e-yar mein
ahl-e-basirat ab nahin dekhenge khoT ko
hasil karenge lakh tariqon se wote ko
pani hi ki tarah se bahaenge note ko
rokengi zar ki Dhaal pe dushman ki choT ko
woter ko baKHsha jaega bhaari mushahra
phir jit ki KHushi mein karenge mushaera
aaenge wote dene ko jab jahilan-e-qaum
un ko dikhae jaenge pahle nishan-e-qaum
gainDa nishan rakkhega ek pahlawan-e-qaum
hai unT koi koi yake-az-KHaran-e-qaum
insaniyat ki qaid se sab ho gae bari
un ka muaalija ho to hoga weterinary

Nazm
Election
Syed Mohammad Jafri