اردو हिंदी
Ek sitara TuT gira tha | Shaahi Shayari
ek sitara TuT gira tha

Nazm

Ek sitara TuT gira tha

Jayant Parmar

;

KHwabon ki sarhad pe
nila nila ek samundar

teri aankhon jaisa
lahron ke nezon pe bahti

jagmag jagmag chand si raushan
apne pyar ki kashti

sat samundar se bhi dur
tufanon se khelti

jal pariyon se baaten karti
wapas lauT aai to

sahil ki chamkili ret mein
ek sitara TuT gira tha