اردو हिंदी
Ek nazm man ke liye | Shaahi Shayari
ek nazm man ke liye

Nazm

Ek nazm man ke liye

Fatima Hasan

;

pahli bar main kab takiye par sar rakh kar soi thi
un ke badan ko DhunDa tha

aur roi thi
do hathon ne bhench liya tha

garm aaghosh ki rahat mein
kaisi gahri nind mujhe tab aai thi

kab dur hui thi pahli bar
apne pairon par chal kar

bistar se alag phir ghar se alag
ek lambe safar par nikli thi

dhire dhire dur hui kab
narm badan ki garmi se

is miThi nind ki rahat se
ab sochti hun

aur roti hun