tere sofe hain afrangi tere qalin hain irani
lahu mujh ko rulati hai jawanon ki tan-asani
imarat kiya shikwa-e-KHusrawi bhi ho to kya hasil
na zor-e-haidari tujh mein na istighna-e-salmani
na DhunD us chiz ko tahzib-e-hazir ki tajalli mein
ki paya main ne istighna mein meraj-e-musalmani
uqabi ruh jab bedar hoti hai jawanon mein
nazar aati hai un ko apni manzil aasmanon mein
na ho naumid naumidi zawal-e-ilm-o-irfan hai
umid-e-mard-e-momin hai KHuda ke raaz-danon mein
nahin tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par
tu shahin hai basera kar pahaDon ki chaTanon mein
Nazm
Ek nau-jawan ke nam
Allama Iqbal