ek hi KHwab kai bar yunhi dekha main ne
tu ne saDi mein uDas li hain meri chabiyan ghar ki
aur chali aai hai bas yunhi mera hath pakaD kar
ghar ki har chiz sambhaale hue apnae hue tu
tu mere pas mere ghar pe mere sath hai 'sonun'
mez par phul sajate hue dekha hai kai bar
aur bistar se kai bar jagaya bhi hai tujh ko
chalte-phirte tere qadmon ki wo aahaT bhi suni hai
gungunati hui nikli hai ghusl-KHane se jab bhi
apne bhige hue baalon se Tapakta hua pani
mere chehre par chhiDak deti hai tu 'sonun' ki bachchi
farsh par leT gai hai tu kabhi ruTh ke mujh se
aur kabhi farsh se mujh ko bhi uThaya hai mana kar
tash ke patton pe laDti hai kabhi khel mein mujh se
aur kabhi laDti bhi aise hai ki bas khel rahi hai
aur aaghosh mein nanhe ko
aur malum hai jab dekha tha ye KHwab tumhaara
apne bistar pe main us waqt paDa jag raha tha
Nazm
Ek KHwab
Gulzar