baiTha hua hun subh se larense-bagh mein
afkar ka hujum hai mere dimagh mein
chhaya hua hai chaar taraf bagh mein sukut
tanhaiyon ki god mein leTa hua hun main
ashjar bar bar Daraate hain ban ke bhut
jab dekhta hun un ki taraf kanpta hun main
baiTha hua hun subh se larense-bagh mein
larense-bagh kaif o latafat ke KHuld-zar
wo mausam-e-nashat wo ayyam-e-nau-bahaar
bhule hue manazir-e-rangin bahaar ke
afkar ban ke ruh mein meri utar gae
wo mast git mausam-e-ishrat-fishaar ke
gahraiyon ko dil ki gham aabaad kar gae
larense-bagh kaif o latafat ke KHuld-zar
hai aasman pe kali ghaTaon ka izhdiham
hone lagi hai waqt se pahle hi aaj sham
duniya ki aankh nind se jis waqt jhuk gai
jab kaenat kho gai asrar-e-KHwab mein
sine mein ju-e-ashk hai mere ruki hui
ja kar use bahaunga kunj-e-gulab mein
hai aasman pe kali ghaTaon ka izhdiham
afkar ka hujum hai mere dimagh mein
baiTha hua hun subh se larense-bagh mein
Nazm
Ek din larans bagh mein
Noon Meem Rashid