zindagi ke jitne darwaze hain mujh pe band hain
dekhna hadd-e-nazar se aage baDh kar dekhna bhi jurm hai
sochna apne aqidon aur yaqinon se nikal kar sochna bhi jurm hai
aasman-dar-asman asrar ki parten haTa kar jhankna bhi jurm hai
kyun bhi kahna jurm hai kaise bhi kahna jurm hai
sans lene ki to aazadi mayassar hai magar
zinda rahne ke liye insan ko kuchh aur bhi darkar hai
aur is kuchh aur bhi ka tazkira bhi jurm hai
ai KHudawandan-e-aiwan-e-aqaed
ai hunar-mandan-e-ain-o-siyasat
zindagi ke nam par bas ek inayat chahiye
mujh ko in sare jaraem ki ijazat chahiye
Nazm
Ek darKHwast
Ahmad Nadeem Qasmi