lo tiswan sal bhi bit gaya
lo baal rupahli hone lage
lo kasa-e-chashm hua KHali
lo dil mein nahin ab dard koi
ye tis baras kaise kaTe
ye tis baras kaise guzre
aasan sawal hai kitna ye!
malum hai mujh ko ye duniya
kis tarah wajud mein aai hai
kis tarah fana hogi ek din
malum hai mujh ko insan ne
kis tarah se ki taKHliq-e-KHuda
kis tarah buton ko paida kiya
malum hai mujh ko main kya hun
kis waste ab tak zinda hun
ek us ke jawab ka ilm nahin
ye tis baras kaise kaTe
han yaad hai itna mein ek din
toffee ke liye roya tha bahut
amman ne mujhe piTa tha bahut
han yaad hai itna main ek din
titli ka taaqub karte hue
ek peD se ja Takraya tha
han itna yaad hai main ek din
nindon ke dayar mein sapnon ki
pariyon se lipaT kar soya tha
han itna yaad hai main ek din
ghar walon se apne laD-bhiD ke
toD aaya tha sab rishte-nate
han itna yaad hai main ek din
jab bahut dukhi tha tanha tha
ek jism ki aag mein pighla tha
han ye bhi yaad hai main ek din
sach bol ke pachhtaya tha bahut
apne se bhi sharmaya tha bahut
han ye bhi yaad hai mujh ko ki main
jab bahut hi be-kal hota tha
ashaar bhi likkha karta tha
han ye bhi yaad hai mujh ko ki main
roTi rozi ki tamanna mein
baDa KHwar hua is duniya mein
han aur bhi kuchh hai yaad mujhe
magar is ka jawab kahan ye sab
ye tis baras kaise guzre
ye tis baras kaise kaTe
ab is ke jawab se kya hoga
chalo uTho ki subh hui dekho
chalo uTho ki apna kaam karen
chalo uTho ki shahr-e-tamanna mein
marham DhunDen un zaKHmon ka
jo dil ne abhi tak khae nahin
tabir karen un KHwabon ki
jo aankhon ne dikhlae nahin
un lamhon ke hamraaz banen
jo zist mein apni aae nahin
chalo tiswan sal bhi bit gaya
chalo mai chalkaen jashn karen
chalo sar ko jhukaen sajde mein
is umr-e-faromaya ka safar
aadhe se ziyaada KHatm hua
Nazm
Ek aur sal girah
Shahryar