ufuq-e-rus se phuTi hai nai subh ki zau
shab ka tarik jigar chaak hua jata hai
tirgi jitna sambhalne ke liye rukti hai
surKH sail aur bhi bebak hua jata hai
samraj apne wasilon pe bharosa na kare
kohna zanjiron ki jhankaren nahin rah saktin
jazba-e-nusrat-e-jamhur ki baDhti rau mein
mulk aur qaum ki diwaren nahin rah saktin
sang-o-ahan ki chaTTanen hain awami jazbe
maut ke rengte sayon se kaho haT jaen
karwaTen le ke machalne ko hai sail-e-anwar
tira-o-tar ghaTaon se kaho chhaT jaen
sal-ha-sal ke bechain shararon ka KHarosh
ek nai zist ka dar baz kiya chahta hai
azm-e-azadi-e-insan ba-hazaran jabrut
ek nae daur ka aaghaz kiya chahta hai
bartar aqwam ke maghrur KHudaon se kaho
aaKHiri bar zara apna tarana dohraen
aur phir apni siyasat pe pasheman ho kar
apne nakaam iradon ka kafan le aaen
surKH tufan ki maujon ke jakaDne ke liye
koi zanjir-e-giran kaam nahin aa sakti
raqs karti hui kirnon ke talatum ki qasam
arsa-e-dahr pe ab sham nahin chha sakti
Nazm
Ehsas-e-kaamran
Sahir Ludhianvi