zindagi ke naTak mein
ek adakara hun main
ye hoga alamiya ya razmiya
kaun bata sakta hai
jab parda uThta hai
mujhe apna kirdar ada karna hota hai
kuchh soche-samjhe baghair
dusre adakaron ke ishaaron par
bolne paDte hain apne mukalme
mere kirdar hain be-shumar
muKHtalif jazbaat liye
madad karne ke liye mujhe
pas-e-parda koi nahin hai
kya main ne apna kirdar sahih nibhaya
jo kahna tha sahi kaha sahi Dhang se
kya main na-kaamyab thi
kya samain ki taliyan
aur naqqadon ki dad main ne hasil ki
ya phir sab ki nazron mein gir gai
in sawalat ka waqt hi jawab dega
parda girne ke baad
Nazm
Kirdar
Elizabeth Kurian Mona