ye bhi raat guzar rahi he
kamre ki bikhri chizen sameTte hue
tumhaare jaane ke baad
tumhaari chahal-qadmiyan ghumti rahti hain dil ke aangan mein
gunjti rahti hain tumhaari sargoshiyan mere kanon mein
bistar ki silwaTen munh chiDhane lagti hain
is bar cigarette ke jale hue TukDon par mahsus karti hun
tumhaare honTon ka lams
idhar-udhar bikhre hue tumhaari baaton ke Dher
chae ki jhuTi pyaliyan
ek ek ko uThati hun aur rakhti jati hun
yaadon ki almari mein
jis mein pahle hi se maujud hain
tumhaari muskurahaTon ki gaThriyan
balcony se jhankta hua chand
mahakti hui raat ki rani
kitna kuchh sameTna baqi he abhi
mere mathe par tumhaare honTon ka lams
tumhaare nam ka wird karti hui dhaDakne
thak kar chur ho gai hun KHud ko sameTte hue
aur aasman par chamakta hua aaKHiri sitara bhi
is bar Dub jaana chahta hai mere sath
tumhaari yaado ke be-karan samundar mein
Nazm
Dusri raat
Varsha Gorchhia