guzar gae kai mausam kai ruten badlin
udas tum bhi ho yaro udas hum bhi hain
faqat tumhin ko nahin ranj-e-chaak-damani
ki sach kahen to darida-libas hum bhi hain
tumhaare baam ki shamen bhi tabnak nahin
mere falak ke sitare bhi zard zard se hain
tumhaare aaina-KHane bhi zang-aluda
mere surahi o saghar bhi gard gard se hain
na tum ko apne KHad-o-KHal hi nazar aaen
na main ye dekh sakun jam mein bhara kya hai
basaraton pe wo jale paDe ki donon ko
samajh mein kuchh nahin aata ki majra kya hai
na sarw mein wo ghurur-e-kashida-qamati hai
na qumriyon ki udasi mein kuchh kami aai
na khil sake kisi jaanib mohabbaton ke gulab
na shaKH-e-amn liye faKHta koi aai
tumhein bhi zid hai ki mashq-e-sitam rahe jari
hamein bhi naz ki jaur-o-jafa ke aadi hain
tumhein bhi zoam maha-bhaarta laDi tum ne
hamein bhi faKHr ki hum karbala ke aadi hain
sitam to ye hai ki donon ke margh-zaron se
hawa-e-fitna o bu-e-fasad aati hai
alam to ye hai ki donon ko wahm hai ki bahaar
adu ke KHun mein nahane ke baad aati hai
to ab ye haal hua is darindagi ke sabab
tumhaare panw salamat rahe na hath mere
na jit jit tumhaari na haar haar meri
na koi sath tumhaare na koi sath mere
hamare shahron ki majbur o be-nawa maKHluq
dabi hui hai dukhon ke hazar Dheron mein
ab un ki tira-nasibi charagh chahti hai
jo log nisf sadi tak rahe andheron mein
charagh jin se mohabbat ki raushni phaile
charagh jin se dilon ke dayar raushan hon
charagh jin se ziya amn-o-ashti ki mile
charagh jin se diye be-shumar raushan hun
tumhaare des mein aaya hun dosto ab ke
na saz-o-naghma ki mahfil na shairi ke liye
agar tumhaari ana hi ka hai sawal to phir
chalo main hath baDhata hun dosti ke liye
Nazm
Dosti ka hath
Ahmad Faraz