tufan ba-dil hai har koi dildar dekhna
gul ho na jae mishal-e-ruKHsar dekhna
aatish ba-jaan hai har koi sarkar dekhna
lau de uThe na turra-e-tarrar dekhna
jazb-e-musafiran-e-rah-e-yar dekhna
sar dekhna, na sang, na diwar dekhna
ku-e-jafa mein qaht-e-KHaridar dekhna
hum aa gae to garmi-e-bazar dekhna
us dil-nawaz shahr ke atwar dekhna
be iltifat bolna, bezar dekhna
KHali hain garche masnad o mimbar, nigun hai KHalq
roab-e-qaba o haibat-e-dastar dekhna
jab tak nasib tha tera didar dekhna
jis samt dekhna, gul-o-gulzar dekhna
phir hum tamiz-e-roz-o-mah-o-sal kar saken
ai yaad-e-yar phir idhar ek bar dekhna
Nazm
Dildar dekhna
Faiz Ahmad Faiz