naghma-dar-jaan raqs barpa KHanda-bar-lab
dil tamannaon ke be-payan alaw ke qarib
dil mere sahra-naward-e-pir dil
reg ke dil-shad shahri reg tu
aur reg hi teri talab
reg ki nikhat tere paikar mein teri jaan mein hai
reg subh-e-id ke manind zartab-o-jalil
reg sadiyon ka jamal
jashn-e-adam par bichhaD kar milne walon ka visal
shauq ke lamhat ke manind aazad-o-azim
reg naghma-zan
ki zarre reg-zaron ki wo pazeb-e-qadim
jis pe paD sakta nahin dast-e-laim
reg-e-sahra zar-gari ki ek ki lahron se dur
chashma-e-makr-o-riya shahron se dur
reg shab-bedar hai sunti hai har jabir ki chap
reg shab-bedar hai nigaran hai manind-e-naqib
dekhti hai saya-e-amir ki chap
reg har ayyar ghaarat-gar ki maut
reg istibdad ke tughyan ke shor-o-shar ki maut
reg jab uThti hai uD jati hai har fateh ki nind
reg ke nezon se zaKHmi sab shahanshahon ke KHwab
reg ai sahra ki reg
mujh ko apne jagte zarron ke KHwabon ki
nai tabir de
reg ke zarron ubharti subh tum
aao sahra ki hadon tak aa gaya roz-e-tarab
dil mere sahra-naward-e-pir dil
aa chum reg
hai KHayalon ke pari-zadon se bhi masum reg
reg-e-raqsan mah-o-sal nur tak raqsan rahe
us ka abresham mulaem narm-KHu KHandan rahe
dil mere sahra-naward-e-pir dil
ye tamannaon ka be-payan alaw
rah gum kar dun ki mashal is ke lab par aao aao
tere mazi ke KHazaf rezon se jagi hai ye aag
aag ki qurmuz zaban par imbisat-e-nau ke rag
dil mere sahra-naward-e-pir dil
sargirani ki shab-e-rafta se jag
kuchh sharar aaghosh sarsar mein hain gum
aur kuchh zina ba zina shoalon ke minar par chaDhte hue
aur kuchh tah mein alaw ki abhi
muztarib lekin muzabzab tifl-e-kam-sin ki tarah
aag zina aag rangon ka KHazina
aag un lazzat ka sar-chashma hai
jis se leta hai ghiza ushshaq ke dil ka tapak
chob-e-KHushk angur us ki mai hai aag
sarsaraati hai ragon mein id ke din ki tarah
aag kahin yaad se utri hui sadiyon ki ye afsana-KHwan
aane wale qarnaha ki dastanen lab pe hain
dil mera sahra-naward-e-pir dil sun kar jawan
aag aazadi ka dil-shadi ka nam
aag paidaish ka afzaish ka nam
aag ke phulon mein nasrin yasman sumbul shafiq-o-nastaran
aag aaraish ka zebaish ka nam
aag wo taqdis dhul jate hain jis se sab gunah
aag insanon ki pahli sans ke manind ek aisa karam
umr ka ek tul bhi jis ka nahin kafi jawab
ye tamannaon ka be-payan alaw gar na ho
is laq-o-daq mein nikal aaen kahin se bheDiye
is alaw ko sada raushan rakho
reg-e-sahra ko bashaarat ho ki zinda hai alaw
bheDiyon ki chap tak aati nahin
aag se sahra ka rishta hai qadim
aag se sahra ke TeDhe rengne wale
girah-alud zholida daraKHt
jagte hain naghma-dar-jaan raqs barpa KHanda-bar-lab
aur mana lete hain tanhai mein jashn-e-mahtab
un ki shaKHen ghair-marai tabl ki aawaz par deti hain tal
bikH-o-bun se aane lagti hai KHudawandi jalajil ki sada
aag se sahra ka rishta hai qadim
rahrawon sahra-nawardon ke liye hai rahnuma
karwanon ka sahaara bhi hai aag
aur sahraon ki tanhai ko kam karti hai aag
aag ke chaaron taraf pashmina-o-dastar mein lipTe hue
afsana-go
jaise gird-e-chashm mizhgan ka hujum
un ke hairat-nak dilkash tajrabon se
jab damak uThti hai ret
zarra zarra bajne lagta hai misal-e-saz-e-jaan
gosh-bar-awaz rahte hain daraKHt
aur hans dete hain apni aarifana be-niyazi se kabhi
ye tamannaon ka be-payan alaw gar na ho
reg apni KHalwat-e-be-nur-o-KHud-bin mein rahe
apni yaktai ki tahsin mein rahe
is alaw ko sada raushan rakho
ye tamannaon ka be-payan alaw gar na ho
asia africa pahnai ka nam
be-kar pahnai ka nam
europe aur america darai ka nam
takrar-e-darai ka nam
mera dil sahra-naward-e-pir dil
jag uTha hai mashriq-o-maghrib ki aisi yak-dili
ke karwanon ka naya ruya liye
yak-dili aisi ki hogi fahm-e-insan se wara
yak-dili aisi ki hum sab kah uThen
is qadar ujlat na kar
izhdiham-e-gul na ban
kah uThen hum
tu gham-e-kul to na thi
ab lazzat-e-kul bhi na ban
roz-e-asaish ki bedardi na ban
yak-dili ban aisa sannaTa na ban
jis mein tabistan ki dopahron ki
be-hasil kasalat ke siwa kuchh bhi na ho
is jafa-gar yak-dili ke karwan yun aaenge
dast-e-jadu-gar se jaise phuT nikle hon tilism
ishq-e-hasil-KHez se ya zor-e-paidai se jaise na-gahan
khul gae hon mashriq-o-maghrib ke jism
jism sadiyon ke aqim
karwan farKHanda-pai aur un ka bar
kisa kisa taKHt-e-jam aur taj-e-kai
kuza kuza fard ki satwat ki mai
jama jama roz-o-shab mehnat ka KHai
naghma naghma hurriyat ki garm lai
saliko firoz-baKHto aane wale qaflo
shahr se lauToge tum to paoge
ret ke sarhad pe jo ruh-e-abad KHwabida thi
jag uThi hai shikwa-ha-e-nai se wo
ret ki tah mein jo sharmili sahar roida thi
jag uThi hai hurriyat ki lai se wo
itni doshiza thi itni mard-e-na-dida thi subh
puchh sakte the na us ki umr hum
dard se hansti na thi
zarron ki ranai pe bhi hansti na thi
ek mahjubana be-KHabari mein hans deti thi subh
ab manati hai wo sahra ka jalal
jaise izz-o-jal ke panw ki yahi mehrab ho
zer-e-mehrab aa gai ho us ko bedari ki raat
KHud janab-e-izz-o-jal se jaise umid-e-zafaf
sare na-karda gunah is ke muaf
subh-e-sahra shad-baad
ai urus-e-izz-o-jal farKHanda ro tabinda kho
tu ek aise hujra-e-shab se nikal kar aai hai
dast-e-qatil ne bahaya tha jahan har sej par
sainkaDon taron ka raKHshanda lahu phulon ke pas
subh-e-sahra sar mere zanu pe rakh kar dastan
un tamanna ke shahidon ki na kah
un ki nima-ras umangon aarzuon ki na kah
jin se milne ka koi imkan nahin
shahd tera jin ko nashsh-e-jaan nahin
aaj bhi kuchh dur is sahra ke par
dew ki diwar ke niche nasim
roz-o-shab chalti hai mubham KHauf se sahmi hui
jis tarah shahron ki rahon par yatim
naghma-bar-lab taki un ki jaan ka sannaTa ho dur
aaj bhi is reg ke zarron mein hain
aise zarre aap hi apne ghanim
aaj bhi is aag ke shoalon mein hain
wo sharar jo us ki tah mein par-burida rah gae
misl-e-harf na-shunida rah gae
subh-e-sahra ai urus-e-izz-o-jal
aa ki un ki dastan dohraen hum
un ki izzat un ki azmat gaen hum
subh ret aur aag hum sab ka jalal
yak-dili ke karwan un ka jamal
aao
is tahlil ke halqe mein hum mil jaen
aao
shad-bagh apni tamannaon ka be-payan alaw
Nazm
Dil mere sahra-naward-e-pir dil
Noon Meem Rashid