diwali
raghubir ki pak yaad ka unwan liye hue
zulmat ke ghar mein jalwa-e-taban liye hue
tarikiyon mein nur ka saman liye hue
aai hai apne sath charaghan liye hue
allah-re ye tab ye tanwir ye jamal
KHurshid ki nazar bhi hai jamni yahan muhaal
tari hai zahidon pe bhi aalam surur ka
ab kis liye KHayal ho hur-o-qusur ka
aalam to dekhiye shab-e-yalda pe nur ka
julte hain ye charagh ki jalwa hai tur ka
manzar bahisht ka hai ye shab hai shab-e-baraat
tanwir-e-aftab ka partaw hai aaj raat
wo ram jo ki kaamil-e-sidq-o-safa raha
wo ram jo ki salik-e-rah-e-huda raha
wo ram jo ki aaina-e-haq-numa raha
wo ram jo ki qate-e-jaur-o-jafa raha
ye raat yaadgar hai us nek zat ki
us paikar-e-KHulus ki wala sifat ki
chaudah baras ke baad jo aaya watan mein ram
har lab tha waqf-e-naghma to har dil tha shad-kaam
thi rashk-e-nur subh-e-banaras awadh ki sham
ahl-e-ayodhya ki zaban par tha ye kalam
hum be-bason ka qafila-salar aa gaya
ban-basiyon ki fauj ka sardar aa gaya
Nazm
Diwali
Arsh Malsiyani